Header Ads

Saturday, 7 January 2017

Android Smart Phone Ki RAM Badaye – Latest Trick [In Hindi]

0 comments

Hello Friends , Jaisa ki aap jante hain ki Android phone me kam RAM hone ke karan phone ka performance Bhut kharab ho jata hai . Or ham jyad applications and games apne android phone me run nahi kar sakte kam RAM hone ki bajah se . Kuch log aaj bhi old mobile phones use karte hain . jinme old operating system hota hai . like CupCake, Donut , GingerBread , HoneyComb , Ye jo old operating system hain unme processor or RAM bhut hi low quality ki hote hain . jisse phone bhut slow work karta hai . Is liye phone ki puri speed RAM par depend karti hai . Aapke phone me RAM jyada hogi . utna aapka phone fast work karega . Kuch applications ki help se possible hai ki ham apne android phone ki RAM ko bada sakte hain . Memory card ki help se . man lijiye ki aapka memory card 4 GB ka , and usme 2 GB space free hain . to aap 2 gb memory ko RAM ke tor par use kar sakte hain .

Android Phone Ki RAM Increase Karne Ki Process

Android smart phone ki RAM Increase karne ke kai tarike hain , but aaj me aapko ek simple tarike ke bare me batane ja raha hu jo ki ek application ki help se kiya jata hai . ROEHSOFT  RAM  EXPANDER (SWAP) ye ek aisa application hai jo memory card ke partition banakar aapke phone ki RAM space ko increase karta hai . Is method se apne android phone ke ram badane ke liye aapka phone root hona bhut jaruri hain . android phone ko root kaise karte hain iske bare me me aapko pahle bata chuka hu . Agar aap nahi jante ki android phone ko root kaise karte hain to ye post  pade :-

Android Phone Ki RAM Increase Karne Ke Liye Kya Chahiye

  • One Rooted Android Phone
  • Ek 4 GB memory card
  • ROEHOSOFT RAM EXPANDER
Warning – Agar aapke memory card me kuch important data hain to u se kahi or copy kar de kyu ki Jab ham swap file Banayege tab memory card formate bhi ho sakta hai .

Apne Android Smart Phone Ki RAM ko Increase Karne Ke Liye Niche Diye Steps Ko Follow Kare

  • First of all aap apne rootd android phone me ROEHSOFT RAM EXPANDER, application ko ( google me search karke) download or install kare . Google me search kare – ( Download ROEHSOFT RAM EXPANDER)
increase ram in android phone
  • Now Apna android phone restart kare .
  • Ab ROEHSOFT RAM EXPANDER open kare .
  • Sabse upar jo green color ki jo line hai ( SwpFile) uspar aap ko ek dot dikhai dega u se right ko drag kare jitni MB aapko ram badani hai utana hi drag kariye .
  • Ab ek same green line aapko isi ke niche dikhegi . jise Swappiness uspar ek dot dikhega u se full right side me drag kar de .
Android phone ki ram badaye





android phone ki ram increase kare


  • Ab upar Active par click kare . or swap file create hone tak wait kare .phone ki ram badaye

  • Jaise hi aap active button par click karoge swap file create hona start ho jayegi , Swap file 100% create hone ke bad applications ko band kijiye , or apna android phone restart kijiye . ab aapki phone ki RAM bad chuki hogi . dhyan rahe ki ye jo ram badegi ise aap settings me jakar check nahi kar sakte . kyu ki is method se hamare phone ki virtual ram badti hai . ye settings me show nahi karegi . but aapke phone ki speed fast ho jayegi .
So Friends agar aapko ye pasand aayi ho to ise apne friends me share jarur kare .
Agar aap koi is post se related question puchna chahte hain to comment me puch sakte hain .

No comments: