Hello Friends – Aaj ham
es post me aapko ek esi tric ke baare me batayege. Jis se aap apne
whatsapp ka data backup apne Google Drive me le skte hai.
Jesaki aap jante hai whatsapp data
backup lene ki koi bhi vaja ho skti hai. Jeseki ho sakta hai khuch
personal and confidential ( Private massage, chats, videos, photos,
Jinhe aap khona nahi chahte hai. to ye data backup google drive me le
skte hai. Ya Aap apne phone ki memory bachana chahate hai. Ya aap baar
-baar phone badalte rahte hai. Vajah chahe jo bhi ho aap apna whatsapp
data backup Google Drive me le skte hai.
To Aaiye Jante Hai Ki Apne WhatsApp Ka Data Backup Apne Google Drive Me Kaise Karte Hai ?
Step 1 – Sabse pahale ham Apne phone ke WhatsApp ko Open karte Hai. Ab aapko whatsapp ke write side ke corner me 3 (…)
dotts dikhege vaha click kare. Ab ek small box open hoga jis me aap
Setting par click kare. Ab ek new page open hoga jisme ho skta hai ki
aapke phone me chats and call ya only chats likha ho skta hai vaha par click kare. Ab ek new page open hoga jis me aap Chat backup par click kare.
Step 2 – Ab ek new page chat backup open hoga. Jis me aapko khuch settings karni hogi. Sabse pahale ham backup to google drive par click kare ab ek box open hoga jis me vah aapse puchhega ki aap kish tarah se data backup lena chahate hai. Jeseki weekly- 7 days ke baad, Daily, Ya Monthly – ek maah ke baad, Ya Only when l tap “Backup”
– ya keval jab aap chahe. Ab aapko jis tarah se apne data ka backup
lena hi aap us par click kare. Or jab aap es me se kisi ek ko select kar
lege to account setting automatic open ho jayegi. Yidi aap first time
data backup le rahe hai to.
Step 3 – Ab
aap (Account) par click kare ab ek new box open hoga jis me aap apna
account select kare. jis account me aap apna data backup lena chahate
hai. Ya aap koi new account add karna chahate hai to Add account par
click karke aap ek new account add kar skte hai.
Step 4 –Ab aap (Back up over) par click kare ab ek new box open hoga. Jis me aapko 2 option wi-fi Or wifi or cellular dikhege jis me se aapko kisi ek ko select karna hai. Jab aap only wi-fi select karte hai to ye data keval wi-fi se hi google drive me save hoga.Or yadi aap (Wi-Fi or Cellular)
select karte hai to ye data aapke phone ke data se or wi-fi dono se
google drive me data backup lena start kar dega. Jis se aapko phone data
backup ke charge bahut jyada dena pad skta hai. kyoki aap anytime wi-fi
ke pass to nahi rah skte. Or jab aap apne wi-fi se alag ho jayege to ye
aapke phone ke data se data back up lena start kar dega. To bahatar
hoga ki aap wi-fi hi select kare.
Step 5 – Or yadi aap cahate hai ki aap apne videos bhi google drive me save karna chahate hai to Include videos ke box ko tick kare. Eske baad aap Backup
ke button par click kare. Ab apka data backup google drive me save ho
jayega. Yadi aapka data bahut jayada hai to ise save hone me khuch samay
lag skta hai. Or jab ye data ek baar google drive me save ho jaye to
aap ise phone se delete kar skte hai. Kyoki ye data ab aap google drive
me hamesha dekh skte hai.
Or yadi aapne ek baar ye data backup apne phone me kar liya to fir aap chahe kisi bhi phone me whatsapp chala rahe ho aapka data Google Drive me Save hota rahega. But whatsaap setting pahle jeshi honi chahiye.
I hope ye post aapko pasand aaya hoga Or
yadi pasand aaya ho to ise apne friends ke Shath share Jarur kare Or
Agar aapka is post se related koi bhi question hai to comment karke hame
puch sakte hai . And thanks for visiting ……