Skyhindihelp me aapka svagat he. is post me computer start nahi ho raha
he to issey follow kare yani yaha di gayi tricks ko follow kare.Friends computer ya laptop me ese hi restart ya bandh nahi ho jata he
uske bahut se karan hote he jo hum yaha charcha karege and solutions ke
bare me bhi aapko batayenge lekin sabse pehle aapko upar mention ki huvi
post read karni he.
Friends desktop restart hone ke kayi karan hote he. sabse pehle aapko
vatanukulti area me apna cpu rakhna he ya computer. Computer assemble
ho tab bhi yaha weak chijo ka istemal system banate vaqt kiya gay hota
he aur jaldi hi who parts beemar hone lagte he and aapko natija
bhugatana padta he.
Computer Start Nahi Ho Raha He To Issey Follow Kare
Virus ke karan bhi computer bandh hona :-
Jee ha yadi aapke desktop me virus he to aapka comouter restart ho
sakta he and bandh ho sakta he and kayi mamlo me to yaha tak paya gaya
he ki computer ko screen nahi milti only computer hi start hota he to ye
bhi ek wajah ho sakti he to uske liye aapko ek badhiya anti virus enter
karna he jissey internet security se lekar sare features include kiye
gaye ho. Aap escan anti virus ka istemal kar sakte he.Escan sabse
badhiya anti vrus program mana jata he aaj internet par and bazaar me ye
uplabdh he to iska istemal jarur kare.
Dhul mitti ki wajah se desktop restart ya bandh hona :-
Ha bilkul yeh bhi ek bahut badi matter he apako every 3 month me ek
dafa pc ko open karke mother board se lekar cooler fan and stabilizer ko
bhi saaf karn apadta he otherwise ek vatq esa aata he ki computer kaam
karna bandh kar deta he. ab apko musibat me kuch sujhta nahi he iska ek
hi ilaj he ki aapko ache se computer ko saaf kar dena he and then ram ko
nikal kar petrol se rui se saaf kar dena he.Hard disk ki pin and other
pin nikal kar fir se dalni he and cooler fan ko pump ki madad se saaf
karna he. aapke pc me jo cooler fan hotehe who bahar ki hawa apne aur
khichate he to uss wajah se dhu mitti bhi khichi chali jati he and
natija who computer ko nuqsan karta he.
Cooler fan ki wajah se computer bandh hona :-
Jee ha ye bhi ek bada karan ban gaya he. Cooler fan agar aapka sahi
nahi hota he to computer hit ho jata he and then puri tarah se bandh ho
jata he aur work nahi karta he. yadi aapka cooler fan puri tarah se
bandh he tab bhi aapka desktop work nahi karega. So dosto iska ek hi
ilaj he ki aapko cooler fan replace karna padega. Yadi aap regularly
cooler fan ko pumping se saaf karte he to ye nobat nahi aati he Cooler
fan ka fitting sahi se na huva ho tab bhi esa ho sakta he. cooler fan ko setup is tarah se kiya hota he ki jissey sidhi hava
motherboard par aati he so is wajah se motherboardhit nahi hota and
aapka pc ache se work karta he. cooler fan do bhi ho sakte he ek mother
board ke liye aur ek pc ke andar ke atmosphere ke liye. Lekin jyadatar
copu me single fan istmal kiya gaya he.Anyway ye post khas taur par pc
lapop bandh ya baar baar restart hone ki problem ko solve karne ke liye
ki gayi he. yadi aapko esi hi dusri posts padhana he to aap hamari
pichli posts padh sakte he and is blog ko subscribe karke bhi aap hamari
sabhi latest new updates and new post apne email par paa sakte he.
Conclusion :-
So dosto computer restart ya bandh hone par kya kare is bare me aapne
bakhubi jankari hashil ki yadi aaapko is bare me jyada janna he to
hamari pichhli posts kjarur padhe. Friends yadi aapke man me koi saval
he to comment darj kare aur is post ko social media jaise whatsapp ,
faceook , instagram , linkedin , pinterest , tumblr , twitter , stumble
open , medium , dig , reddit and g+ par share jarur kare. Dhanywaad.