Header Ads

Sunday 15 January 2017

Android Phone Ko Hang Hone Se Rokne Ke 10 Tips [In Hindi]

0 comments

Aaj ham bat karege ki android phone  ko hang hone se  rokne ki . Agar aapka phone bhi hang hota hai . To ye post aapke liye bhut kam aane bali hai . ye post only android user ke liye hai kyu ki jyada tar mobile users android phone ko hi use karte hain . To friends aaj me aapko android phone ke 10 tips batane ja raha hu jin se aap ko apne android phone ko hang se rokne me help milegi .

Android Phone Hang Hone Se Rokne Ke 10 Tips

  1. Aapke phone me jo antivirus or jo cleaning apps hain sabse pahale unko uninstall kare .
  2. Ab aapke phone me bhut sare apps install honge . unme se aap jin apps ko kam use karte hain, unko uninstall kar de kyu ki jyada apps install karne se  phone ki speed kam ho jati hai .
  3. Aap jin apps ka use nahi karte un apps ko force stop kar de agar wo running honge to aapka phone hang hoga .
  4. And jin apps ko install rakhna chahte hain unke data ko kuch time ke bad  clear karte rahen . kyu ki use karne se unka data bad jata hai jissi phone hang hone lagta hai .
  5. Agar  aapne new phone kharida hai to usme jyada apps install na kare kyu ki aisa karne se new mobile phone jyad apps ko load nahi kar sakta or kuch time bad aapka phone hang hone lagega .
  6. Jyada tar mobile users internal store me applications install karte hain . aisa karne se phone ki RAM par load padta hai . or phone hang hone lagta hai . Is Liye Jyada se Jyada apps memory card me install kare , or jo apps aapne internal store me install kar liye hain unko memory card me transfer kar de .
  7.  Apne phone ke internal store ko tab tak use clear rakhe jab tak aapke memory card bhar jaye . But memory card me kuch   space rakhe , jise man lijiye ki aapka 16 GB ka memory card hai to usme 2-3 GB memory khali jarur rakhe.
  8.  Aap apne android phone par internet to jarur hi use karte hoge . Jab aap apne phone ka data on karte hain. to data on karne ke bad kich time ke liye mobile par touch na kare. kyu ki jab aap internet data on karte hain, tab bhut si process on ho jati hain jaise  , Facebook ,Whatsapp etc .  Agar aap data on karne ke bad hi phone use karne lagenge to system bhut hi hang hoga . kyu ki usme bhut sari process start ho jati hain .
  9.    kuch days ke bad apne phone ko pc se connect karke apne phone ke internal store or memory card ko pc se scan karte rahe  . Isse kuch virus aa jate hain wo scan karne se nikal jate hain .
  10. And aap high level ke browser to use karte hi honge jaise Google Chrome , morzila, UC browser etc . aise high level ke browser use system ko hang karte hain . isliye aap jo bhi browser use karte ho unka data clear jarur kare . kyu ki jyada tar aapke phone ko ye browser hi hang karte hian . or inke andar se cookies, data , history , ye sab jarur clear kare jissi aapke phone ke system par kam se kam load ho sake .Agar aap ye 10 tips apne android phone me use karoge to mujhe yakin hai ki aapka phone hang nahi hoga . in tricks ko follow karne se phone ke hang hone ki problem hi nahi balki , battery , phone ki life ke liye bhi useful hain . ye problem jyada tar sabhi users ko aati hai , or aapke friends ko bhi aati to aap is post ko apne friends me share jarur kare .
Agar aapka Internet se related koi question hai to hame comment karke puch sakte hain .Thanks To All.

No comments: