Header Ads

Sunday, 15 January 2017

Computer Se Phone Me Files Transfer Kaise Kare [In Hindi]

0 comments

Hello Everyone , Aaj ham aapko is post me ek aisi trick ke bare me batayege  jis se ham Computer se phone mein Files Transfer simple tarike se kar sakte hain , jesa ki aap jante hain vese to ham Bluetooth ya SD Card Ke Jariye files ko transfer karte hain. but Aaj Ham aapko Portal by pushullet Simple wi-fi File Transfer  ke baare me batate hain ye ek aisa files transfer hai jo computer ki kisi bhi file ko Android Phone, iPhone me badi Asaani se send Kar Deta hai.
Portal by pushullet Simple wi-fi File Transfer ke liye hame wi-fi ki connectivity  chahiye jis se aapke Mobile Ka deta safe rahega or badi aasani se badi badi file portal ki help se transfer kar Sakenge.
Portal app ki ek khash baat ye hai ki jo files jis trah ke hoti hai vah unhe alag alag shahi jagah par apne portal name se alag alag folder me save kar deta hai. Or yah apne naam ka folder phone  memory  ya memory card me Automatic create kar leta hai.  Jis se aapko files dekhne me aasani hogi. Or eske photos Phone ki Gallery me or videos- video player me or  musics- music player me direct bhi dekh Sakte hain.

To Aaiye  Jante hain ki Ye Portal Pushbullet Wi-fi Files Transfer Kaam Kaise Karta hai ?

Step 1- To sabse pahle ham apne computer me Portal pushbullet ki website par Portal.Pushbullet.com  type karke vaha jate  hai to hame vahapar ek Qr code dikhai dega.

2016-10-08_22-49-55


Step 2 – Ab aap apne phone ke playstore me jakar Portal Wi-Fi File Transfer app ko download karke ise install karle or jab vo install ho jaye to ise open karle open karne ke baad aapko screen par ek [SCAN] ka buttion dikhega vaha click kare.

2016-10-08_22-46-07

Step 3 – Ab aapka Wi-Fi Qr code Scaner open hoga. Ab aap Computer par dikh rahe Qr Code per Apne Phone ke QR Code Scaner ko le jaye to vah es Qr Code ko scan kar lega. Or aapka computer file ko transfer karne ke liye teyar hoga.
hgfhgf  capture
Step 4 – Ab aapke computer me new page open hoga. Ab aap es page par aap apne Computer ki kisi bhi file ko Drag and Drop kar Sakte hai. Kyoki eska ye white Eria Drag and Drop hota hai.
Jis tarah se aap apane computer se select kiya hua data ek folder se select karke dusare folder par drag karke le jate hain to vah data us folder me copy ho jata hai. Esi tarah aap apni Portal pushbulet wi-fi ke drag and drop Screen par computer se select kiya hua Data files Drag karke le jate hai to vah  es deta ko phone par transfer ya upload kar deta hai.
2016-10-08_22-29-05

Step 5 – Ya aap eski screen par dikh rahe (click here to upload) button par click kare. Ab ek new page open hoga jis me aapko computer ki sabhi files open hongi. Ab aap apne computer ki kisi bhi file ko select kare or [open] par click kare.

2016-10-09_3-11-37

Step 6- ab aapki select ki hui files aapke phone me transfer ho chuki hai. Jinhe aap apne phone ki screen par dekh skte hai. or yadi aap chahe to en files ko vaha par open karke dekh ya sun skte hai.

dgh   
fdkj

I hope ye post aapko pasand aaya hoga Or yadi  pasand aaya ho to ise apne friends ke Shath share Jarur karen Or Agar aapka is post se related koi bhi question hai to comments ke jariye hame puch sakte hain . And thanks for visiting ……

No comments: