Header Ads

Wednesday, 4 January 2017

Unlimited Free Call Karne Ke Liye Top 10 Android Apps 2017 [In Hindi]

4 comments
Hello Friends, Welcome To Skyhindihelp Blog Aap kisi ko bhi call karte hai to aapko baar-baar yahi tension rehta hai ki jyada balance n kat jaye. Lekin aapke paas Android smartphone hai to aapko worry karne ki koi jarurat nahi hai. Kyuki aap in free internet calling application se kisi ko bhi free me call kar sakte ho. Aaj mai is post me aapko Top 10 free calling android apps ke baare me batane jaa raha hu. Aap jisiko bhi call iske mobile me ye apps install hona chahiye. Ye sabhi apps ko niche batayi link se download kar sakte hai.



Free Calling Karne Ke Liye Best Application :-

Chaliye jante hai unlimited free call apps ke baare me

1. Whatsapp Apps :-

whatsapp-messengerHum sab log jante hai ki Whatsapp world ka sabse best messenger hai. Harek vyakti whatsapp use karta hai, aur aap bhi use karte honge. Whatsapp se aap sabhi logo ko chatting kar sakte hai. Whatsapp start hone ke waqt video chat support nahi karta tha, ab ye karne laga hai. Ab aap whatsapp se video chat bhi kar sakte ho. Whatsapp sabse accha isliye hai, kyuki aap issey loe internet connection par bhi free call aur chatting kar sakte hai. Whatsapp Free calling service for internet connection. Free call to any country.
Whatsapp Download Android Apps


2. Facebook Messenger:-

facebook-messenger
Facebook ye duniya ka best chatting karne ka popular apps hai, Almost sabhi internet user ka facebook bana hua hai. Friends ko chat karne ke liye, status update karne, photo share karne ke facebook sabse popular hai. Aap iske alawa facebook par bahut kuch kar sakte ho. Jaise ki video chatting karna aur notes create karna. Agar aapke paas apne mobile me facebook messenger install hoga jo aap is app se apne friends ke saath baatchit kar sake. Aap is app ki madad se apne friends ko stickers bhi send kar sakte hai. Aap ke mobile me internet free ho to is apps ke jariye aap free call kar sakte hai.
Facebook Messenger Download Android Apps

3. IMO free video calls and chat :-

imo-free-video-calls
IMO apps audio aur video calling ke liye bahut accha app hai. Ye app isliye design kiya gaya hai ki isse aap audio aur video calling kar sake. ye app ki madad se aap apne friend ko free calling kar sakte hai.Ye app internet jyada speed hone pe sahi se work karti hai. internet ki speed slow hogi to iss app me error aa sakti hai. Aap is apps ko google play store se le sakte hai.
IMO Free Download Android Apps

4. Nanu :-

nanu
Is apps ke jariye aap dusre desh me bhi voice call kar sakte hai. Apne friends ko call karne ke liye Nanu app bahut accha app sabit ho raha hai. Ye ek aisa app hai jiski madad se aap kisi ko bhi internet ke jariye audio call kar sakte ho aur uske mobile me ye app mojud na bhi ho to bhi aap baat kar sakte hai. Ye apps aapko google play store se nahi milega. Lekin me aapko link deta hu waha se aap download kar sakte ho.
Nanu Download Android Apps

5. Skype :-

skype-free-im-video-calls
Skype app video chatting karne ke liye purana app hai. Ye application sabhi operating system ke liye available hai. Skype app ko 200 million se jyada logo ne download kiya hai. Skype apps ka use badi badi company me interviews aur video conference ke liye hota hai. Skype dwara aap Face to face video calling kar sakte hai. aap isme 25 se jyada logo ke saath group banakar call kar sakte hai. 300 se jyada logo ke saath group me message kar sakte hai. Share photo, Video messages, your location ye sabhi skype share kar sakte hai.
Skype Download Android Apps

6. Line :-

linefree-calls-messages
Aap is apps ki madad se ek sath 200 people ke saath group call kar sakte hai. Line india ka sabse popular app hai. Is app se logo ko sticker send karne se paisa milta hai. Ye application google play store me 500 million se jyada download hui hai. Iska user review bhi bahut accha hai. Ye aaplication se aap international calls bhi kar sakte hai. Pehle ye app refer system start hui thi. Bahut se log apne friend se baat karne ke liye is app ka use karte hai. Is android app ko apne mobile me download karne ke liye Download link pe click kijiye.
Line Download Android Apps

7. FreeTone Free Calls & Texting :-

freetone-free-calls-texting
Ye app sabhi users ke liye bilkul free hai. Free tone app ko aap google play store se download kar sakte hai. Is app ki help se aap kisi ko bhi free voice call kar sakte hai. Free tone application baat karne ke liye bahut badiya app hai. ye application aap kisiko call karte hai to uske mobile me aapka hi mobile number show karta hai. Ye application ko google play store me 1 million se jyada logo ne download ki hai. Agar aap canada aur USA jaise desh me call karna chahte hai to is app ke jariye call kar sakte hai. Lekin samnewale vyakti ke mobile me ye application install honi chahiye. Is app se aap text message bhi kar sakte hai. Is android app ko apne mobile me download karne ke liye Download link pe click kijiye.
FreeTone Download Android Apps

8. WePhone :-

wephone
Ye application 200+ jyada desho me use ho rahi hai. ye app ko bhi aap free call karne ke liye use kar sakte hai. WePhone application apne users ko free credit deta hai. Ye apps ko play store me 1 million se jyada logo ne download ki hai. iska user rating 4.2 hai. Aap kisi bhi desh me call karna chahte ho to is app ka rate bahut kam hai. Credit lene ke baad aap kisi bhi country me free me baat kar sakte hai. Agar aap call credit kharidna chahte hai to apne ATM ya Debit Card se kharid sakte hai. Is app ko google play store se download karne ke liye niche bataye link pe click kijiye.
WePhone Download Android Apps

9. WhatsCall – Free Global Calls :-

whatscall-free-global-calls
Whatscall app google play store me available hai. Apne dost ko acchi quality me baat karna chahte hai to aap whatscall ke jariye kar sakte hai. Ye application google play store me 10 million hui hai.Is app ka 4.6 rating hai. Every user ko 2000+ free calls milte hai per day. Aap jyada samay baat karte hai to aapko is app se point kharid sakte hai. Ye app call karne ke liye kuch free credit deta hai. Agar samnewale vyakti ke phone me ye application install hai to aap unlimited baat kar sakte hai. Is tarah ye app bahut acchi hai. Is app ko google play store se download karne ke liye niche bataye link pe click kijiye.
WhatsCall Download Android Apps

10. Fake Call :-

fake-call
Is application ki madad se aap apni caller id change karke apne friends ko free call kar sakte hai. Ye app play store me 100 thosands se bhi jyada download hui hai. Is application se aap apne relative jaise ki apne friends, family member, GF-BF etc se in sabhi ko aap ullu bana sakte ho. Ye application paid hai, Sign up hone ke baad aapko kuch points milenge. Lekin baad me aapko points kharidne padege aur tab aap unlimited call kar sakte hai. Is app ko google play store se download karne ke liye niche bataye link pe click kijiye.
Fake Call Download Android Apps

To Dosto, Ye thi Free Call Karne ki Top 10 Application. Aap ye sabhi apps ko ek baar download jarur kare. Sabhi mobile me ye harek apps Free Voice Calling ke liye install kar sakte hai. Ye sabhi application only internet se hi aap chala sakte hai. Aap ye sab apps ke alawa koi aur free calling apps ke baare me jante hai to humein comment box me comment karke jarur bataye. Ye post aapko acchi lagi ho to social site me apne friends ko share karna na bhule. Aapka Shukriya..

4 comments:

Anonymous said...

nice post.
AOL Support Number

Anonymous said...

Great Post.
Web Skype Support

Anonymous said...

Technical support may be delivered by the different technologies depending on the situation. For example, direct questions can be addressed using telephone calls, SMS, Online chat, Support Forums, E-mail or Fax.
Windows tech support

Unknown said...

We are always here to help you if you are facing some problem regarding apple products like iPhone, MAC etc.
iPhone customer support