Header Ads

Wednesday, 4 January 2017

Blogger stats VS Google Analytics Which one is Perfect – [In Hindi]

0 comments
Hello friends me hu Chirag kumar aapka dost aur aapka SkyHindiHelp pe dil se svagat karta hu. Aaj ham janenge ki Blogger stats VS Google Analytics Which one is perfect to is jankari ko ache se samajhne ke liye aapko ye puri post dhyan se padhana anivary he. hamne pichhli post me jana tha ki, Event Based Blogging se Lakho Rupees Kamane Ka Shortcut aur ummed karte he aapne us post ko samajh liya hoga. Lekin is bar ham jo share karne wale he who totally different topic he. aap jab wordpress aur google analytics ka traffic stats jab compare karte he to aapko thoda bahut fark jarur dikhayi dega lekin blogger? Blogger stats ka aakda aap dekhe aur google analytic ka dekhe. Aap dekh payenge ki bahut bada fasla aur different dikhayi dega. Iska reason kya hota he ? aur konsa traffic stats sahi information deta he? is sabhi javalo ka javab aap ko is post me se milega.



Yadi aapki unique traffic Google analytics me 100 Page views he aur blogger stats me aapko 145 ya 150 page views najar aayega. Ab aape ye sochenge in me se perfect result kiska he? wordpress ka traffic stats me fasla kam hota he lekin blogger me to sidha 35% different dikhayi deta he. so dosto ye sabhi different jis wajah se hota he us wajah ko ham yahape charcha karenge. Anyway chaliye is bare me jante he.

Blogger stats VS Google Analytics which one is perfect

Blogger {Blogspot} me traffic stats jyada kyu dikhata he

blogger-statistic
Friends sabse pehle to aap to aap apni blogger admin panel open kijiye aur stats>overview me jakar manage the tracking of your own pageviews pe click kijye or don’t track my views for this blog pe click kijiye jissey hoga ye ki aap ka pageviews khud ke hi blog me count nahi hoga.
Aapke blog me jo page views jyada show hote he who sab real visitors nahi hote he. me aapko bata du ki Google bots aapke page ko crawl karne ke liye aapki site ko visit karta he to robots page views bhi count hote he. is wajah se aapke page views blogspot pe jyada dikhayi dete he.

Blogger Stats VS WordPress(jetpack) VS Google Analytics which one is better

Friends ab me aapko bataunga ki blogspot stats aur wordpress stats and google analytics un me se sabse perfect result kaun deta he to mere javab google analytics he. jee ha google analytics se jyada perfect result aapko na wordpress ka jetpack stats de payega aur na hi blogspot stats.  Blospot stats me crawler and google bots ke page views bhi count hote he. to blogger ke stats pe aap bharosa nahi kar sakte he lekin wordpress ka jetpack stats and Google analytics me different blogger ke muqabale kam hi hota he.
Aap Keywords and post ki jankari BlogSpot and jetpack me bhi dekh sakte he. Google analytics me aap real time traffic bhi dekh sakte he uske alava aur bhi country wise and language wise and aur bhi kayi tarah ke filter ka istemal karke aap Google analytics me traffic stats dekh sakte he. dosto ummed karte he ye post aapne dhyan se padhi hogi. Agar aapko esi hi dusri posts padhni he to hamari pichhli posts ko visit jarur kare aur agar aap esi hi janakariya miss nahi karna chahte he to hamara blog email se subscribe jarur kare jissey aapko regularly mail delivery prapt hoti rahegi.
 

Conclusion

To dosto aapne jana ki, Blogger stats VS Google Analytics Which one is perfect yadi aap iske bare me jyada jankari janna chahte he to aap comment ke jariye hamse charcha vicharna kar sakte he. yadi aap is post ko share karna chahenge to ye hamare liye bahut hi khushi ki bat hogi aur un logo ke liye bhi jo is jankari ke liye zuz rahe he so aap is post ko jyada se jyada share kar sakte he. post ko share karne ke liye aap facebook, whatsapp, twitter, instagram, linkedin, pinterest, tumblr, stumble open, medium, digg, Reddit and google plus ka istemal kar sakte he. dhanywaad aur Freehindihelp blog ko visit karte rahe aur nayi jankari prapt karte rahe.  Good bye.

No comments: