Header Ads

Saturday, 7 January 2017

WI-FI Router Ka Password Change Kare – [In Hindi]

0 comments

Hello Everyone , Aaj ham sikhenge ki apne Wi-Fi Router Ka password kaise change karte hain . To friends sabse pahla question ye hai ki wi-fi ka password kyu change kare . iski kya jarurat hai, ho sakta hai ki aap koi Restaurent ya kaife chalate hain. or aap apne customer free wi-fi ki subidha dena chahte hain. restorent ke malik aksar apne wi-fi account ka password change karte rahte hain . taki unko hi fi-wi ka fayada mile jo hal hi me aaye hain . kuch days ya months pahle nahi . Ho sakta hai ki aapke ghar par kai friends aate rahte ho or aapne past me unke sata apna password share kiya tha . Agar aapke pass unlimited internet deta ka plan hai to – to sahi hai . nahi to ho sakta hai ki jab aapke friends aapke ghar par aaye to aapka deta plan jaldi khatm ho jaye . Aise me apna password jaldi change karte rahna hi sahi hota hai . Ye bhi ho sakta hai ki aapke wi-fi ke password ko kisi ne hack kar liya hai . Or aapka internet deta sab use ho raha hai . To aap apne wi-fi ke password ko change karke ye chori rok sakte hain .

Wi-Fi Ka Password Kaise Change Kare?

To chaliye sikh lete hain ki wi-fi ka password kaise change karte rahte hain . Is tutorial me ham windows 8.1 use karne wale hain . but baki ke windows version me bhi tarika lag – bhag yahi hai . Aage badne se pahle do chije kar lijiye sabse pahli ki land cable ya catsix cable le lijiye . or dusri us cable ko apne router ya modem me dalkar . dusara end apne computer me dal lijiye . mere pas modem cam router hai , or mene pahle se ye cable apne computer me dal li hai . Ab hame apne Router ki settings me jana hoga . Apne computer ki windows search me jaye or isme type kare – cmd Ab aapke sanme command prompt is par click kare . ab ye hamara command prompt open ho gaya . yaha par hame type karna hai – ipconfig or enter key press kare . to ye dekhiye aapke wi-fi connection ya land connection ki jo settings hai wo open ho gayi hain . aapko jis chij par dhyan dena hai wo ye hai – Default Gateway – 
change wi-fi password
Agar aapko ye Default Gateway pahle se pata hai to sahi . agar aapko nahi pata hai to aap is IP Address ko note kar lijiye . kyu ki hame iski jarurat padegi . Ab hamari land cable to hamare computer se connected hai , or ab ham browser ko open karte hain . Link Address bar me wo hi IP address type kar dete hain – (192.168.8.1 aapka IP address different hoga ) or enter key press kare .  mere pas cisco ka Router hai or iska Default Gatevey open ho gaya hai . Ab aapko yaha par login karna hoga , Agar aapke pas username ya password hai to us se yaha par dal sakte hain . lekin jab ham Router install karte hain . to us time hame username ya password milta hai . par jyada tar log is password ko badalte nahi hain . to agar aapko ye username ya password nahi pata hai to aap ise internet par jakar khoj bhi sakte hain .  iske liye aap apne browser me new tab open kare , or site hai – routerpasswords.com 
Also Read Youtube ke videos vina kisi software ke kaise Download karen
wi-fi router ka password change kare
Is website ko type kare ya fir , upar di gayi link par click kare. Ab hamare samne site open ho chuki hai, or aap isme apne Router ki company ka name likh lijiye. Yaha par dekhiye ek drop down menu hai . Aap yaha par Apne Router ki company ka name choose kar lijiye . mera cisco company ka hai , to hamne cisco par click kiya or enter press kiya to or fir find password par click kiya . yaha par sare ke sare models aa gaye or aapko yaha par default username or default password bataya ja raha hai to aapka jonsa Router hai aap wo dekh sakte hain  . ye to cisco ki bat hai . or yaha pr other kisi company ke Router to aap yaha par dekh sakte hain . ye bhut hi use full site hai . 
wi-fi password find
To chaliye mujhe apna password pahle se hi pata hai . to ham yaha par login kar lete hain . or login par click kar dete hain . Ab ham is router me login hain . Agar aap dhyan denge to niche jo hamara password hai wo hame dikh raha hai , agar ham is passphrase samne jo small box hai Show Key , usme tik karenge to password dikhega agar tik nahi karenge to password nahi dikhega .
Agar aap chahe to ise yaha par change kar sakte hain . nahi to upar wireless ka button hai us par click kare . or wireless me wireless security par click kare . Ab yaha par dubara hamara password ya passphrase dikha raha hai . Ab ham ise change kar dete hain . or save settings par click kar dete hain , ab hamara password change ho chuka hai . ham upar setup par jate hain . or yaha dekhiye hamara password yaha par bhi change ho chuka hai . to aapko ye steps fir se bata dete hain, ki aapko sabse pahle wireless me jana hai or wireless me wireless security me jana hai or waha par aap apna password change kar dakte hain .change wi-fi password

New Password Se Wi-Fi me login kare

To hamne ye password change kar diya hai . To ham ise logout kar dete hain . lekin dhyan dene wali bat ye hai ki abhi aapko dubara se wi-fi me login karna hai to aapko 1-2 kadam or uthane honge . Ab hamara jo internet land cable se connect hai to ham is land cable ko nikal dete hain . ab aapko network me keval wi-fi connection hi dikhenge . Ab ham apne wi-fi network par connect karenge ( can’t connect to this network ) to aap normal tarike se yaha par login nahi kar payenge .

Wi-Fi Password Ko Forget Kare

pahle aapko is network ko forget karna hoga . aapko apne computer me jake naya password dalna hoga . nahi to aap is network se connect nahi ho payenge . iske liye aapko jaha par aap wi-fi ko connect karte hain waha par upar view connection settings ka option hoga . us par click kare or fir ek window open hogi usme manage known network par click kare . or usme aapke sabhi networks aa jayege usme se apna wi-fi network par click kare . And then Forget par click kare . or is window ko band kar dete hain .
Ab bapas task bar me wi-fi network me aaye or apne network par click kare or jab aap pahli bar is wi-fi new password ke bad connect karne ki koshis karenge to aapko network security key dalne ko kahega . yaha par aap apna new password enter kare or next par click kare or ab aapka wi-fi connect ho jayega . ye step bhut hi important hai is jarur dhyan rakhe .
I hope ye jankari aapko pasand aayi hogi agar ha to ise apne friends me share jarur kare . Agar aapko isme koi problem aa rahi ho to aap hame comment me puch sakte hain . ham aapki help karne ki puri koshis karenge . And Thanks For Visiting…

No comments: